Monday

Ek lamhe me unhone

Ek lamhe me unhone hamari jindagi sawar di,
Ek lamhe me unhone hamari jindagi ujaad di,
Kasur unka nahi hamara tha,
Un do lamho me humne sari jindagi gujaar di.




...............................................



Rah Rah kar teri yaad aaye to kya karun?
Yaad teri dil se na jaye to kya karu?
Sochata hu ki hogi mulakat khwabo me,
Lekin kambakhat nind he naa aaye to kya karu?



...............................................



Aap paas raho ya dur
hum dil se dil ki awaj mila sakate hai,
Na sms ke na khat ke mauthaj hai hum
Per aap ke dil ko ek hichaki se hila sakate hai.



...............................................



Waqt ki dhup ho ya barish,
kuch kadamo ke nishan kahin nahi hote.
jinhe yad karke khush hoti hai ankhen,
wo log dur hote hue bhi door nahi hote.



..............................................

Dil mein tumhari apni

Dil mein tumhari apni kami chod jayenge,
Aankhon mein intezar ki lakir chod jayenge,
Yaad rakhna dhundte rahooge humhe,
pyar ki aisi kahani chod jayenge.




...............................................



GHAM KO BECHKAR KHUSHI KHAREED LENGE.
KHWAB BECHKAR ZINDAGI KHAREED LENGE.
HOGA IMTIHAAN TO DEKHE GI DUNIYA.
KHUD KO BECH KAR AAP KI KHUSHI KHAREED LENGE.



...............................................



chidiya ko dekha to mann gud gudaya
apne azaad hone ka khyal mann ko bhaya
kyu na mein b par faila kar udd jau kahin door
fir achanak hi khud ko rishto me bandha hua paya



...............................................



Unki yaad aaye toh dil kya kare,
Yaad dil se na jaye toh dil kya kare,
Socha tha sapno me mulaqath hogi magar,
Neend hi na aaye toh dil kya kare.



..............................................

Mera naseeb

Mere naseeb main wo nahin shayad

Kyun khel aisa taqdeer ka hota hai

Lakeerain nahin milti hain unse

Jin se ye dil milta hai

Dunya kehti hai

Chand lamhon ka saath tha

Ye dil jaanta hai

Ye umr bhar ka ehsaas tha !!!

Na jaanu mein....!!

Jaane kya hai dil ke andar jo chupke se toot raha hai

Ek meherbaan ka haath jaise hathon se chooth raha hai

Lamha lamha guzar ke dafan ho raha hai seene main

Seh kar ye dard kuch ajab maza aane laga hai jeene main

Jaane yeh kis rehguzar pe qadam humne badhaaye hain

Jaana tha kis manzil par, jaane kis aor nikal hum aaye hain

Ek khalish hai dil ko ghere, ek ajab si khaamoshi chaayi hai

In chubhti tanhaaiyon main aaj yaad teri bohot aayi hai !!

Thursday

Mujhe khoney se derta tha

     Meri aa'nkhooN pe marta tha
      Meri baatooN pe hasta tha
     Najaney shakhs tha wo kaisa
     Mujhe khoney say derta tha
     Mujhe jab bhi wo milta tha
      Yehi her bar kehta tha

              Suno!!!!!

     Agar main bhool ja'ooN tu
     Agar main rooth ja'ooN tu
      Kabi wapis na aa'oun tu
     Bhula paa'oo gay ye sab kuch
     Yuunhi hansty raho ge kia
     Yuunhi sajtey raho ge kia
     Yehi batein haiN bas uski
     Yehi yaadein hain bas uski
     Mujhe itna pata hai bas……!
      Mujhe wo pyar kerta tha,

      Mujhe khoney se derta tha

Tuesday

Ek pal mein aakar guzar jaye

Ek pal mein aakar guzar jaye,
Wo lamha humein yaad aaye.
Do pal mein aakar muskuraye,
Toh dhadkan ruk jaye.
Har waqt humein bulaye,
Fir na jaane kaha kho jaye.
Aisa hai dewana hamara,
Jo har waqt humein sataye.

Aey kaash koi jaa ke usse pooche..?

Aansu nahi thamte hain aankhon main abhi tak
Jaate hue rota woh mujhe choor gaya tha

Armaano ki Duniya ke anmol se sapne
pal main woh mere saamne sab tor gaya tha

Jaan deta tha meri her baat pe lekin yun hi
Besabab Duniya se meri rukh mor gaya tha

Dinn ki tanhayi ka gham, raaton ki udasi hamraah
Saare ghamon se rishta mera jod gaya tha

Aey kaash koi jaa ke usse pooche
Yahan kis ke sahare pe mujhe choor gaya tha…?